utter pradesh me jo kuchh bhi hua wo atyant durbhagyashali hai. etihas ki taraf nazar uthakar dekhe to pratyek yudha ya badale ki karavae me mahilaye hi sabase asan aur soft target hoti hai. abaki bar bhi wahi ho raha hai. Fark sirf itana hai ki es bar ek mahila ne ek mahila ki asmat ki chindi chindi udayee hai mahilayo ke sath ho rahe balatkar aur usaki kshatipurti ko lekar. prasn aaj bhi anuttarit hai ki balatkar ke bad ki peeda se kya kam hoti hai un ghatanao ki charcha. ek sakaratmak bat ye hai ki un mahilao ki manasik esthiti k bare me chone ki jahamt uthai gayi hai bhale hi rajniti k bahane.Sath hi ek prasn aur bhi vicharniy hai ki kya mahilayo ki balatkar k samay aur usake bad ki pira bhi social status k hisab se hoti hai ya chhatipurti ke nam par di gayi dhanarashi use abortion ya treatment k liye hai. Apane apane jhagade me Mayavati aur Rita Bahuguna Josi k sath sath is mudde par rajniti karane wale pratyak saksh ko chona hai. mahilaye hamari jeevan ki dhuri hai, unake sath khalane wale khud khilouna ban jate hai. Hamara bharatiya darsan is bat ki ezazat nahi deta. According to Manusmiriti - Yatra naryastu pujyante ramante trata devata. so be careful and give to poper respect to our women.
Thanks !
Vinay Kumar Singh From Loknath Mahavidyalay Ramgarh Chandauli